Iss Jaal Se Paare

 
*This image was generate using AI



Tum Kahan ho?
Tumhe kya chahiye?
Tumhe kahan jaana hai?
Aur Kyun jaana hai?

Main Khada hoon zindagi ke uss mod par,
Jahan aaya tha ek Roshni lekar,
socha tha - yahi jagah hogi meri,
yahi se badlegi tasveer meri.

Par ab lagta hai,
yeh koi manzil nahi,
yeh toh mera khud ka banaya hua ek imtihaan hai,
Jahaan roz main khud ko hi naapta hoon,
Khud se hi haar kar phir khud ko maapta hoon.

Hum Chahte sab kuch hain,
phir lagta hai kuch bhi nahi,
aur jab dil se puchho - 
toh sach mein chahat bhi shayad kuch nahi.

Bas ek wajah hai jo saans ko baandhe rakhti hai -
wo kuch crore ka lakshya,
ek Sankalp, ek drishtikon,
Jahan main jee sakun waise
jaise dil kabse jeena chahta tha.

Par paisa?
Paisa toh bas ek Chhota sa tukda hai,
iss anant kahani ka,
ek ret ka zarra samandar mein,
ek pal jo aaya aur chala gaya.

Acha paisa, acha kharcha,
phir wahi daud, wahi mehnat,
wahi saazishein, wahi bojh,
ek chakra jo khatam nahi hota - 
sirf roop badalta hai.

kal sapna tha,
aaj bojh hai,
kal bojh badal kar
ek nayi umeed ban jayega.

Ek cycle nahi-
hazaaron chakravyuh hain andar,
complexity ke dhaagon mein uljhe hue,
ek roop se doosre,
doosre se teesre,
aur phir wapas shuru.

Kabhi ant nahi,
kabhi shanti nahi,
sirf chalna,
sirf badalna 
sirf bikhare dobara sambhalna.

Aur main?
Mujhe Iss loop se bahar jaana hai.

Bahot door.
Lakho kos door.
Us jagah tak - 
Jahan na tara ho, na mera
na shuruat ho, na ant,
na kami ho, na bharmaar,
Jahan kuch bhi na ho,
aur sab kuch bhi ho.

Jahan existence sawal na bane,
aur energy ko roop badalne ki
majboori na ho,
Jahan hona hi kaafi ho,
Jahan saans ka matlab sirf saans ho.

Iss jaal se nikalna hai mujhe,
Iss maya ke chakra se pare jaana hai.

Kyunki sach ye hai - 
iss duniya ka sara paisa bhi mil jaaye,
toh bhi shayad kuch nahi,
aur ek tukda bhi na mile,
toh bhi kuch nahi.

Ab matlab sirf itna hai - 
ki jo ye urja mujhmein dhadak rahi hai,
jo "kyun" mere andar zinda hai,
jo wajood chup-chaap sawal karta hai -
shayad uska poora hona hi
meri asli manzil hai.

Aur uske baad...
shayad na kuch ho,
aur shayad wahi
sab kuch ho.

 

Comments

Popular posts from this blog

Loving Her was too much to Ask for | Was it Ever Love